23 Mar 2009 - 10:02:41 pm
WAGAH BORDER!
BHARAT NE GHAIR MULKI GHADON (DONKEY) KI AAMAD PER PAABANDI LAGA DI
DO GHADAY PAKISTAN SE BHARAT NA JAA SAKAY
Wagah - (Report: Rafique Zakaria) Switzerland se Duniya ka Aman (Peace) ka safar paidal chal ker shuru kerne wale do swiss bashindon ko us waqt pareshani ka saamna kerna pada jub wo Pakistan se Bharat jaane ke liye Wagah border pohchay.
32 saala ‘Mathias’ aur unki mangetar 31 saala ‘Celine’ apne teen paaltoo jaanwar jin may eik kutta aur do ghadday (donkey) shamil they ko lekar jub wagah border pohchay to Bharat ke custom hukkaam ne unhein bataya ke wo apnay kuttay ko bharat laa sakte hain lekin ghaddon ko nahi.
Wajah poochne per Bharat ke custom hukkaam ne bataya ke unke mutabik Ghaday ka shumaar paaltoo jaanwaron may nahi kiya jaata lehaza wo sirf apna kutta saath le jaa sakte hain. Is waqt dono ghaday Punjab Animal Hiusbandry ke mehekmay ke paas hain. Mathias aur unki mangetar Celine ne Pakistan may Switzerland ke sifaratkhanay se rujooh kiya hai.
Bharti hukkaam ne swiss bashindon se kaha hai ke wo dono ghadon ko bazariya hawai jahaaz Bharat bhijwayein. Celine ka kehna hai ke wo apne Ghadon ko bazariya hawai jahaz bhejne ka kharch bardasht nahi ker sakte. Dono swiss bashindon ne 3 maah kabl aman ka apna ye safar paidal shuru kiya tha aur Italy, Croatia, Greece, Turkey, Iran aur bazariya Pakistan se Bharat jana chahte they.
Swiss bashindo ka kehna hai Islamabad may kayam Bharat ke sifaratkhaane ne unhein ghadon ko Bharat le jaane per paabandi ke baare may koi ittela nahi dee thi. [End]

Syndication